jalwa ba qadr e zarf e nazar dekhte rahe
kya dekhte ham unko magar dekhte rahe
apna hi aks pesh e nazar dekhte rahe
aina ru ba ru tha jidhar dekhte rahe
unki hareem e naaz kahan aur ham kahan
naqsh o nigaar e parda e dar dekhte rahe
aisi bhi kuch firaaq ki raatein guzar gaein
jaise unhi ko paish e nazar dekhte rahe
har lehza shaan e husn badalti rahi jigar
har aan ham jahan e digar dekhte rahe