.

Dil Hi To Hai Lyrics

Poetry by Mirza Ghalib

1. dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?
royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ?
[ sang = stone, KHisht = brick ]

2. dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN
baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ?

[ dair = temple, haram = mosque, dar = gate, aastaaN = abode,
rehguzar = path/way ]

3. jab woh jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz
aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN ?

[ jamaal = beauty, faroz = shining/luminous, meher = sun,
neem_roz = mid day, nazzaara_soz = beautiful/worth seeing ]

4. dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah
tera hee aks-e-ruKH sahee, saamne tere aaye kyoN ?
[ dashna = dagger, GHamza = amorous glance, jaaN_sitaaN = distroying
life, naawak = a kind of arrow, aks = image ]

5. qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ?

[ hayaat = life, band-e-Gham = conceled sorrows,
nijaat = release/liberation ]

6. husn aur uspe husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm
apne pe 'eitmaad hai, GHair ko aazmaaye kyoN ?

[ husn_zan = favourable view, bulhawas = slave of passions/very
greedy, 'eitmaad = reliance/dependance ]
7. waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a
raah meiN ham mile kahaaN, bazm meiN wo bulaaye kyoN ?

[ GHuroor = pride, iz'z-o-naaz = respect and beauty,
hijaab = veil/modesty, paas = regard, waz'a = behaviour ]

8. haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee
jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ?

[ parast = worshipper, deen = religion/faith ]

9. 'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?

[ KHasta = sick/injured, zaar-zaar = bitterly ]
Report lyrics
Someone Somewhere (2002)
Din Guzar Gaya Meri Zindagi Kisi Aur Ki Ab Se Barsar Ki Rut Fasila To Hai Aadami Aadami Ko Kya Dega Mere Dukh Ki Koi Dawa Na Karo Koi Samjhega Kya Raz-E-Gulshan Dekha To Mera Saya Bhi Dil Hi To Hai