.

Sabko Maloom Hai Main Sharabi Nahin Lyrics

Sabko maloom hai main sharabi nahin
Phir bhi koi pilaye to main kya karoon
Sabko maloom hai main sharabi nahin
Phir bhi koi pilaye to main kya karoon
Sirf ik baar nazron se nazren milen
Sirf ik baar nazron se nazren milen
Aur kasam toot jaye to main kya karoon
Aur kasam toot jaye to main kya karoon
Mujho maikash samajhte hain sub vadakash
Mujho maikash samajhte hain sub vadakash
Kyunki unki tarah ladkadhata hoon main
Meri rag rag mein nasha mohabbat ka hai
Meri rag rag mein nasha mohabbat ka hai
Meri rag rag mein nasha mohabbat ka hai
Jo samajh mein na aaye to main kya karoon
Sirf ik baar nazron se nazren milen
Sirf ik baar nazron se nazren milen
Aur kasam toot jaye to main kya karoon
Aur kasam toot jaye to main kya karoon
Haal sunkar mera sehme sehme hain vo
Haal sunkar mera sehme sehme hain vo
Koi aaya hai zulfen bikhere hue
Maut aur zindagi dono hairaan hain
Maut aur zindagi dono hairaan hain
Maut aur zindagi dono hairaan hain
Dum nikelne na paaye to main kya karoon
Sirf ik baar nazron se nazren milen
Sirf ik baar nazron se nazren milen
Aur kasam toot jaye to main kya karoon
Aur kasam toot jaye to main kya karoon

Kaisi lat, kaisi chahat, kahan ki khata
Kaisi lat, kaisi chahat, kahan ki khata
Bekhudi mein hai Anwar khudi ka nasah
Zindagi ek nashe ke siva kuch nahin
Zindagi ek nashe ke siva kuch nahin
Zindagi ek nashe ke siva kuch nahin
Tumko peena na aaye to main kya karoon
Sirf ik baar nazron se nazren milen
Sirf ik baar nazron se nazren milen
Aur kasam toot jaye to main kya karoon
Aur kasam toot jaye to main kya karoon
Sabko maloom hai main sharabi nahin
Phir bhi koi pilaye to main kya karoon
Phir bhi koi pilaye to main kya karoon
Phir bhi koi pilaye to main kya karoon
Phir bhi koi pilaye to main kya karoon
Phir bhi koi pilaye to main kya karoon
Report lyrics
Mu-Kar-Rar (2006)
Ishq Insaan Ki Zaroorat Hai Deewaron Se Milkar Rona Jheel Mein Chand Nazar Aaye Zara Ahista Chal Pathar Sulag Rahe The Chand Chamka Hai Khud Ki Khatir Na Zamane Ke Liye Sabko Maloom Hai Main Sharabi Nahin