MAIN AUR MERI AWAARGI
(Sargam .....pa ma ga re ....)
Phirte hain kab se dar-ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar
Main aur meri awaargi -4
Na aashna har rehguzar
Na meherbaan har ek nazar
Jaayein to ab jaane kidhar
Main aur meri awaargi -4
Hum bhi kabhi aabaad the
Aese kahaan barbaad the
Hum bhi kabhi aabaad the
Aese kahaan barbaad the
Befikr the aazaad the -2
Masroor the dilshaad the -2
Wo chaal aesi chal gayaa
Hum bujh gaye dil jal gayaa
Nikle jalaa kar apanaa ghar
Main aur meri awaargi -4
Wo maah-e-vash Wo maah-e-rooh
Wo maah-e-kaamil hu-ba-hu
Wo maah-e-vash Wo maah-e-rooh
Wo maah-e-kaamil hu-ba-hu
Theen jis ki baatein ku-ba-ku -2
Us se ajab thi guftaguu -2
Phir yoon huwa wo kho gayi
Aur mujh ko zid si ho ga_ii
Laayeinge us ko dhoond kar
Main aur meri awaargi -4
(Sargam .....pa ma ga re ....)
Ye dil hi tha jo seh gayaa
Wo baat aesi keh gayaa
Ye dil hi tha jo seh gayaa
Wo baat aesi keh gayaa
Kehne ko phir kya reh gayaa -2
Ashkon ka dariyaa beh gayaa -2
Jab keh ke vo dilbar gayaa
Tere liye main mar gayaa
Rote hain us ko raat bhar
Main aur meri awaargi -4
Ab gham uthaayein kis liye
Aansu bahaayein kis liye
Ab gham uthaayein kis liye
Aansu bahaayein kis liye
Ye dil jalaayein kis liye -2
Yoon jaan gawaayein kis liye -2
Peshaa na ho jis kaa sifan
Dhoondeinge ab aesa sanam
Honge kahin to kaar-gar
Main aur meri awaargi -4
(Sargam .....pa ma ga re ....)
Aasaar hain sab khot ke
Imkaan hain sab chont ke
Aasaar hain sab khot ke
Imkaan hain sab chont ke
Ghar band hain sab koth ke -2
Ab Khatm hai sab Totke -2
Qismat kaa sab ye pher hai
Andher hai andher hai
Aese hue hain be-asar
Main aur meri awaargi -4
Jab humdam-o-humraaz tha
Tab aur hi andaaz tha
Jab humdam-o-humraaz tha
Tab aur hi andaaz tha
Ab soz hai tab saaz tha -2
Ab sharm hai tab naaz tha -2
Ab mujh se ho to ho bhi kya
Hai saath wo to wo bhi kya
Ek behunar ek besabar
Main aur meri awaargi -4
Phirte hain kab se dar-ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar
Main aur meri awaargi -8
(Sargam .....pa ma ga re ....)
Phirte hain kab se dar-ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar
Main aur meri awaargi -4
Na aashna har rehguzar
Na meherbaan har ek nazar
Jaayein to ab jaane kidhar
Main aur meri awaargi -4
Hum bhi kabhi aabaad the
Aese kahaan barbaad the
Hum bhi kabhi aabaad the
Aese kahaan barbaad the
Befikr the aazaad the -2
Masroor the dilshaad the -2
Wo chaal aesi chal gayaa
Hum bujh gaye dil jal gayaa
Nikle jalaa kar apanaa ghar
Main aur meri awaargi -4
Wo maah-e-vash Wo maah-e-rooh
Wo maah-e-kaamil hu-ba-hu
Wo maah-e-vash Wo maah-e-rooh
Wo maah-e-kaamil hu-ba-hu
Theen jis ki baatein ku-ba-ku -2
Us se ajab thi guftaguu -2
Phir yoon huwa wo kho gayi
Aur mujh ko zid si ho ga_ii
Laayeinge us ko dhoond kar
Main aur meri awaargi -4
(Sargam .....pa ma ga re ....)
Ye dil hi tha jo seh gayaa
Wo baat aesi keh gayaa
Ye dil hi tha jo seh gayaa
Wo baat aesi keh gayaa
Kehne ko phir kya reh gayaa -2
Ashkon ka dariyaa beh gayaa -2
Jab keh ke vo dilbar gayaa
Tere liye main mar gayaa
Rote hain us ko raat bhar
Main aur meri awaargi -4
Ab gham uthaayein kis liye
Aansu bahaayein kis liye
Ab gham uthaayein kis liye
Aansu bahaayein kis liye
Ye dil jalaayein kis liye -2
Yoon jaan gawaayein kis liye -2
Peshaa na ho jis kaa sifan
Dhoondeinge ab aesa sanam
Honge kahin to kaar-gar
Main aur meri awaargi -4
(Sargam .....pa ma ga re ....)
Aasaar hain sab khot ke
Imkaan hain sab chont ke
Aasaar hain sab khot ke
Imkaan hain sab chont ke
Ghar band hain sab koth ke -2
Ab Khatm hai sab Totke -2
Qismat kaa sab ye pher hai
Andher hai andher hai
Aese hue hain be-asar
Main aur meri awaargi -4
Jab humdam-o-humraaz tha
Tab aur hi andaaz tha
Jab humdam-o-humraaz tha
Tab aur hi andaaz tha
Ab soz hai tab saaz tha -2
Ab sharm hai tab naaz tha -2
Ab mujh se ho to ho bhi kya
Hai saath wo to wo bhi kya
Ek behunar ek besabar
Main aur meri awaargi -4
Phirte hain kab se dar-ba-dar
Ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke humsafar
Main aur meri awaargi -8