.

Woh Subah Kabhi to Ayegi - Phir Subah Hogi Lyrics

Woh subah kabhi to aayegi

in kali sadiyon ke sar se jab raat ka aanchal dhalkega
jab dukh ke badal pighalenge jab sukh ka saagar jhalkega
jab ambar jhoom ke nachega jab dharati naghme gayegi
Woh subha kabhi to aayegi...

jis subah ki khatir jug jug se hum sab mar mar kar jeete hain
jis subah ke amrit ki dhun mein hum zahar ke pyale petein hain
in bhuki pyaasi ruho par ik din to karam farmayegi

Woh subah kabhi to aayegi...

mana ke abhi tere mere armano ki keemat kuch bhi nahi
mitti ka bhi hai kuch mol magar insanon ki keemat kuch bhi nahi
insano ki izzat jab jhute sikkon mein na toli jaayegi
Woh subah kabhi to aayegi...

daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jayega
chahat ko na kuchla jayega, izzat ko na becha jayega
apney kali kartuton par jab ye duniya sharmaayegi

Woh subah kabhi to aayegi...

beeten-gey kabhi to din aakhir ye bhuk ke aur bekari ke
tooten-gey kabhi to but aakhir daulat ki ijarahdari ke
jab ek anokhi duniya ki buniyad uthayi jayegi
Woh subah kabhi to aayegi...

majboor burhapa jab sooni raahon ki dhool na phankega
maasoom larakpan jab gandi galiyon mein bhuk na mangega
haque mangne walon ko jis din suli na dikhaye jayegi

Woh subah kabhi to aayegi...

faqon ki chitaon par jis din insan na jalayen jayenge
seney ke dahakatey dozakh mein armaan na jalaye jayenge
ye narak sey bhi gandi duniya, jab swarg banaye jayegi
Report lyrics