.

Banjaara Lyrics

Jise zindagi dhoond rahi hai
Kya ye woh mukaam mera hai
Yahaan chain se bas ruk jaaun
Kyun dil ye mujhe kehta hai
Jazbaat naye se mile hai
Jaane kya asar ye hua hai
Ik aas mili phir mujhko
Jo kubool kisi ne kiya hai
Haan kisi shayar ki ghazal
Jo de rooh ko sukoon ke pal
Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar
Naye mausam ki sehar, ya sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar

Hmm...

(Instrumental Break)

Aa... aa...

Jaise koi kinara, deta ho sahara
Mujhe woh mila, kisi mod par
Koi raat ka taara, karta ho ujala
Waise hi roshan kare, woh shehar
Dard mere woh bhula hi gaya Kuch aisa asar huya,
Jeena mujhe phirse woh sikha raha

Hmm jaise baarish kar de tar, ya marham dard par
Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar
Naye mausam ki sehar, ya sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar

(Instrumental Break)
Muskaata ye chehra, deta hai jo pehra
Jaane chupata kya dil ka samundar
Auron ko toh har-dum, saaya deta hai,
Woh dhoop mein hai khada khud magar
Chot lagi hai use phir kyun mehsoos mujhe ho raha
Dil tu bata de kya hai irada tera ?

Hmm...

Main parinda be-sabar, tha udha jo dar-ba-dar
Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar
Naye mausam ki sehar, ya sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai, jaise banjare ko ghar

Jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar
Report lyrics
Top Mohd Irfan Lyrics