1. dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?
royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ?
[ sang = stone, KHisht = brick ]
dair nahiin haram nahiin dar nahiin aastaaN nahiin
baiThe hain rahaguzar pe ham Gair hamen uThaaye kyuuN
[ dair : temple
haram : mosque
dar : gate
aastaaN : doorstep
rahaguzar : journey path ]
haaN vo nahiin Khudaaparast, jaao vo bevafaa sahii
jisako ho diin-o-dil aziiz, usakii galii men jaaye kyuuN
[ Khudaaparast : follower of Khuda=Muslim
diin-o-dil : religion/faith and heart
aziiz : dear ]
'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?
[ KHasta = sick/injured, zaar-zaar = bitterly ]
qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ?
[ hayaat = life, band-e-Gham = conceled sorrows,
nijaat = release/liberation ]