.

Bazeecha-e-Atfal Hai Lyrics

1. baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

[ baazeechaa = play/sport, atfaal = children ]
2. hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

[ nihaaN = hidden, gard = dust, sehara = desert, jabeeN = forehead ]

3. mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage

4. imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

[ kufr = impiety, a lack of respect, especially for God or religion.
Ka'aba = the holiest place in Islam, a large cube building inside the al-Masjid al-Haram mosque in Mecca
kaleesa = church/cathedral ]

5. go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

[ jumbish = movement/vibration, saaGHar-o-meena = goblet (Glass or metal in which wine is drinked ]

======================================================
6. ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

[ auraNg = throne, 'eijaz = miracle ]
7. juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

[ juz = other than, aalam = world, hastee = existence,
ashiya = things/items ]

8. sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

[ KHudbeen = proud/arrogant, KHud_aaraa = self adorer,
but = beloved, aainaa_seemaa = like the face of a mirror ]

9. fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

[ gul_afshaanee = to scatter flowers, guftaar = speech/discourse,
sahaba = wine, esp. red wine ]

10. nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage
[ gumaaN = doubt, rashk = envy ]

11. aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
majnooN ko bura kehti hai laila mere aage

[ farebee = a fraud/cheat ]

12. KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

[ hijr = separation ]

13. hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

[ mauj_zan = exciting, qulzum = sea, KHooN = blood ]

14. ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage !

[ ham_pesha = of the same profession, ham_masharb = of the
same habits/a fellow boozer, ham_raaz = confidant ]
Report lyrics